Monday, March 17, 2008

kalpana

zameen par lakeerein kheench ke
lo sarhad bana diye maine
sanskaar aur sanskriti ke naam per
niyam bana diye maine

rang roop, jaat paat, rahan sahan sab alag
har ek cheez mein bhed kiya hai
isme insaan ki galti nahi,
yeh to meri hi moh maya hai

har vastu ka ek bhinn gun chuna
har cheez ke niyam banaye maine
spasht paribhasha se vastu ko
uske seema se baandh diya maine

parantu ek sundar vardaan hai
jisko maine vishesh roop se chuna
jiski na koi paribhasha, na koi seema
main use apne shabdon mein kehta hoon kalpana

Sunday, February 24, 2008

teri yaad

tum yun khafa hokar mujhse jo bichhad gaye
chand lamhon ki khushiyaan yun bikhar gaye
aansuon ko sarhad par rokna mumkin na thha
bas teri yaad ke sahaare hum jeete gaye

aapka noor dekhne ko hum taras gaye
kitne saawan aaye aur baras gaye
aapka noor kahin nazar nahi aaya
dekhte hi dekhte din, maheene aur saal guzar gaye

hum aapki khayalon mein khote gaye
aapki yaadon ko sapnon mein pirote gaye
aapki wafai ka har ek wada yaad hai humein
aap kya jaano hum aapki yaad mein kaise rote gaye

ab judaai ka gam humein aise sataata hai
har lamha dil aapki har ek baat yaad dilaata hai
ek pal ab reh naa sakenge aapke bagair
har pal humko aap ka hi khayal aata hai

saath bitaaya hua har woh lamha jee rahe hain
aapke pyaar mein gamon ke aansoon pee raha hain
Aye khuda humein apne pyaar se milaade
hum kabse apne pyaar ki yaadon mein jee rahe hain