Monday, March 17, 2008

kalpana

zameen par lakeerein kheench ke
lo sarhad bana diye maine
sanskaar aur sanskriti ke naam per
niyam bana diye maine

rang roop, jaat paat, rahan sahan sab alag
har ek cheez mein bhed kiya hai
isme insaan ki galti nahi,
yeh to meri hi moh maya hai

har vastu ka ek bhinn gun chuna
har cheez ke niyam banaye maine
spasht paribhasha se vastu ko
uske seema se baandh diya maine

parantu ek sundar vardaan hai
jisko maine vishesh roop se chuna
jiski na koi paribhasha, na koi seema
main use apne shabdon mein kehta hoon kalpana